imtihano se kathin mai paas hona chahta hun,
asma itna ho ki swachhand udna chahta hun,
kathin raho pe mai chal k jeetna ab chahta hun,
is khule ambar k mai us par udna chahta hun,
sury ki najron se mai najren milana chahta hun,
singh se baahe mila k khelna mai chahta hun,
dusmano ke dilon pe bhi raaj karna chahta hun,
pyar apno pe bhi mai dugna lutana chahta hun,
tod de chattan ko aisi mai himmat chahta hun,
khwabo ko apne mai ab sach kar dikhana chahta hun,
kayaron ki bheed me 'kuch' alag dikhna chahta hun,
ban sake itihas yu mai jung ladna chahta hun,
Tuesday, June 17, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment